Thursday, April 12, 2007

anubhav / experience


kya kabhi dhyaan diya hai tumne
ki adhunikta ke is shehar mein
kai chote-bade
abhi abhi khade
naye mandiron par bhi
likh diya jaata hai
"pracheen"

jaise,
naveen hone se
bhakt wahan ayenge nahi
aur pujariyon ka jalpaan
doobhar ho jayega

kya bhagwan ko bhi
apne bio-data mein
experience ki jaroorat padti hai?

8 comments:

Aditi said...

haha that made me laugh.. here i thought god and spirituality were timeless..

Ali S. said...

nice observation

Cuckoo said...

Good one Adi !!

Sugarlips said...

Hehehehe...a nice one :)
Say hello to Dee from our side :)


Stay Beautiful...!

Sigma said...

Bahut hi sateek baat hai!!

Anonymous said...

baat to bilkul sateek hai,
insaan ke moodh hone ki bhi prateek hai,
naye mandir par bhi laga daali pracheen ki mohar,
usmein baithe bhagwan ko bhi bana diya,
jaise ho kisi museum ki dharohar.
mandir to mandir hai,
naveen ho ya pracheen,
jahan tak sawal hai pujari ke jalpaan ka,
wah to shayad hee kabhi aisa ho ke doobhar na hota ho,
pujari ka pet kabhi bhara hai kya bhai ?
aur jahan tak hai biodata ki baat,
woh shayad bhagwan ki nahi,
pandat ki zarurat hai,
kyonki pujari ji ko chinta hai,
apne experience certificate ki,
jo unhe pidhi dar pidhi sevak hone ka praman dila sake,
shayad issi liye lagai jaati ho,
naye mandiron par bhi pracheen hone ki mohar

ρηοενιχ said...

khuda bhi sochta hoga, tanhayee ke palon mein
jahaan takhleeq kar maine ye kya jurm kar daala...
zameen waalon ne kiya jab bhi yaad, sawaalon se
mere wajood-o-ehsaas ko nestonaabood kar daala...

Aparna Mudi said...

aur mujhe laga isi post ke saath shayad tum apne dusre blog par bhi jaoge...may it wud have suited thr....aajkal nahi aapko time hai nahi interest hum neeche ke insaano mein...hum chote logo ki kya aukaad...!!!!
sorry i had forgotten these days its just one name....

dreamt before

Related Posts Widget for Blogs by LinkWithin