Monday, April 09, 2007

wajood


bohat der se darwaaje par lagi thi'n
phir seedhiyan taap kar
koodti-faandti
society ke gate par pahunchi

wahan intezaar kiya kuch der
aur sadak paar kar
main road par
jo bus stand hai
wahan se hote huye
bus mein safar kiya
aur shehar ke us paar bhi pahunch gayi'n
jahan se tu chal di hai ab

lagta hai
in ankhon ka ek apna hi wajood hai

mujhe yahin baitha chhod
ho aati hain har us jagah
jahan ke lagta hai
tu hai is waqt

the wait,
for dee, as it used to happen at my hagrid's house
its another thing, that she didnt let it happen the last time :)

4 comments:

Aditi said...

mano to wajood hain na mano to insaanon ka bhi nahi

Cuckoo said...

Hmmmm... Khoyi aankhen wajood bana ghoomti hain aajkal ?

Sigma said...

hmmm .. par jo sab jagah ghhom aati hain woh aankhein hain ya kalpana ??

your posts are very infrequent ... quite at a loss of words these days ? ;-)

Anonymous said...

after a long long time....i actually reread the poem again....

dreamt before

Related Posts Widget for Blogs by LinkWithin