Friday, April 14, 2006

those eyes...


4 comments:

Anonymous said...

surmayi aankhiyon mein neend hi to nahi aati....
bas dekhti rehti hai...
takti rehti hai rahe
ki sapna ab ayega ki tab ayega
ab uski yaad ne dastak dena chhod diya hai....
ab to bas aandhi si aati hai
aur darwaza, khidkiya sab udke chali jaate hai
kisi aur samay mein....kisi aur yug mein
jahan mera pyar hi uska jahaan tha
mere shabd uski pyas bujhate thhe.
meri aur uski kahani ek thhi
ab aankhe neend se band bhi hoti aye to kuch chupe aansu chalak jaate hai...

simat ke abhi bhi hoto ko chhute hai aur kehte hai
"ab jeene se dar lagta hai,
kaash tere in pankhuriyon mein main sukh jaun to aankhen so jaye chain se..."

Peenuts said...

hey i hav just one word 4 wht anonymous said..beautiful..abey alok seekh kuch unsey :)

Anonymous said...

shaam ki kinari par
sunehra sa gota sila hai
lal reshmi dhaage
ke bade-bade se taanke hain
jhilmilate sitare hain
un lehrate pardon ke anchal mein

ek chhoti si kashti me
main sehmi si baithi hun
is badniyat toofan mein

meri ankhon ke aage mere manjhi ki laash hai....
aur main dari si ,sehmi si
dulhan bani baithi hun
kehta hai rumani jise sara jahan
dilkash sa lagta hai nazara unhen
in,fulkariyon,aatishbaaziyon ke beech,
ye,
meri maut ka manzar hai......

this little piece of adi's n this little essay of mine are dedicated to the same person.his supposed soulmate n my supposed best frend.
actually none.

Aparna Mudi said...

arre baap re ....tum log to sab senti hote chale jaa rahe ho!hmmm dedication or no dedication....i duno why i feel to love the thing which is far is bit of a fun isnt it...shayarana...
and well thanks pino....

dreamt before

Related Posts Widget for Blogs by LinkWithin