majdoor ka beta
khelta hai mitti se
chalta hai agni par
swapn dekhta hai vayu sam
jal bharta hai ankhon mein
aur jeeta hai aakash jaisa anant jeevan
a.c. mein pale badhe
gadiyon mein chale
'sahab' ke bete ka
aisa bhagya kahan
ho na ho
bhagwan bhi
kisi majdoor ka beta hai
paanch tatvon ke
apne in khilono se
usi ne gadha hoga, mujh angadh ko
hope my twin translates this for me!
khelta hai mitti se
chalta hai agni par
swapn dekhta hai vayu sam
jal bharta hai ankhon mein
aur jeeta hai aakash jaisa anant jeevan
a.c. mein pale badhe
gadiyon mein chale
'sahab' ke bete ka
aisa bhagya kahan
ho na ho
bhagwan bhi
kisi majdoor ka beta hai
paanch tatvon ke
apne in khilono se
usi ne gadha hoga, mujh angadh ko
hope my twin translates this for me!
6 comments:
How are you Adi..have to wait for the translation.take care.
i don't have words to appreciate u
ek kavita ka ansh hai jo humein humari ek teacher ne sunvaya tha..
Raja ka janm hua tha to uski mata ne 'chaand' kaha
Ek bhikh-mange ki maa ne bhi apne bete ko 'chaand' kaha
Duniya bhar ki maataon ki aashishein lekar jiya chaand
..yeh peela vaasantiya chaand
_
the first two lines are teh point of note here..
ahh beautiful absolutely a masterpiece
Hmmm...
toooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooo... good
U know what, I love u...
dee
a beautiful poem---
majdoor ka beta tod sakta hai sitaare,
maruthal main baha sakta hai meethe jal ke dhaare
wo chaahe to dariyaon ka rukh badal de
wo chaahe to parvat bhi hile-uth ke chal de
wo maange hak jo apna, to tamaam kaaynaat kam ho
ye karz us jameen ko chukaana hai,jo uske pitaon ke khoon-pasine se nam ho..
Post a Comment